Tuesday, December 14, 2010

For them who loves shayeris!

1)      BADD-DUA NA LAGE MERE YAAR KO KOI,
USE JUDA NA LAGE ISS SANSAAR SE KOI,
BHAR DU MOHABBAT UNKE DIL MAI ITNI,
UNHE ACCHA NA LAGE MERE BAAD MAI KOI..

2)      YE MOHABBAT BEJAAN KAR GAYEE HUME,
WO U BADNAAM KAR GAYEE HUME,
THUKRA CHALE PYAAR KO WO ISS-QADAR,
APNO SE BHI AAJ ANJAAN KAR GAYEE HUME..

3)      SAHA KISNE NAHI JUDAAI KO,
            ROYA KAUN NAHI BEWAFAAI KO,
      DHEH JAATI HAI IMAARAT DIL KI,
      KHEL SAMAJHTE HAI JO KHUDAAI KO..

4)      JUDA HO GAYE HUM TO KYA BARI BAAT HAI,
DIN SE TO BARI HOTI YAHAN KI RAAT HAI,
MILNE KI TO DUA AB HAR-ROZ KARENGE,
DUA SE TO HOTI PYAAR KI SHURUWAAT HAI..

5)      JHILMILAAYEIN HAI AASMAA KE TAARE AAJ,
DAGMAGAAYE HAI DHARTI KE SAARE AAJ,
U NA SANWAR KE AAYA KARO AAP,
KHUBSURTI PARIYO KI BHI AAPSE HAARE AAJ..

6)      U KAHANI KO HUM ANJAAM NA DETE,
TERE PYAAR KO KAVI ILZAAM NA DETE,
INKE KASMO KO TUNE EHEMIYAT NA DI,
WARNA TERE MOUT KA HUM FARMAAN NA DETE..

7)      KYO KISI PAR HUM FIDA HO JATE HAI,
DO PAL KI DOSTI KE BAAD JUDA HO JATE HAI,
EHESAAS HAI JAB GUM-E-JUDAI KA HUME,
FIR KYUN KISISE YE GUNAH HO JATE HAI..

8)      BEWAFAAO KE SITAM WAFA KARNEWALO KO RULA GAYE,
PYAAR KO DIL MAI NAHI JALTI CHITA PE SULAA GAYE,
JAL UTHEGI DHARTI AAJ AANSUO KE MANZAR SE,
FIR NA ROYEGA KOI IN BEWAFAAON KE SITAM SE..


9)      NA LOUT PAYENGE HUM ISS MEHEFIL MAI KAVI,
MURJHA GAYE FUL BHI KHIL KAR KAVI,
YAAD AATE RAHENGE HUM JAISE FARISHTE UNHE,
JUDA HO GAYE JO HUMSE MIL KAR KAVI..

10)  WO CHALE GAYE MEHFIL SE RUTH KAR,
CHAL DIYE SITAARE BHI AAJ HUME LUT KAR,
VIRAAN HO GAYA YE AASMAA HAMARA,
KHO GAYA CHAND BHI JAB DEKHA SUBHAH UTH KAR..


11)  JO SUNAAI DE HAR PAL WO AHAT HO TUM,
MERI ZINDIGI KI PEHELI CHAHAT HO TUM,
AANKHEIN VEEG AATI HAI AAPKE DI-DAAR SE U,
DIL MAI HONEWALI WO SHARAARAT HO TUM..

12)  JAB PAANI HI PAANI HAI TO PYAAS KYUN LAGE,
JAB BADAN HI GILA HO TO AAG KYUN LAGE,
NA PAYA JAWAAB IN SAB KA KISINE,
JAB DUR REHETA HO KOI WO PAAS KYUN LAGE..

13)  AMBR KI UNCHAAI NAHI HOTI,
SURAJ KI PARCHAAI NAHI HOTI,
JHUTE PYAAR KO TO NAPA JA SAKTA HAI,
SACCHE PYAAR KI GEHERAAI NAHI HOTI..

14)  NA GUM KI AANDHI AAYEE,
      NA BEWAFAI KA TUFAAN,
      NA TANHAI KI AAG LAGI,
      NA RUSWAAI KA ILZAAM,
      DO BAATEIN HI TO KI THI HUMNE,
      FIR KYUN KEHETE HO,
      ‘’DEKH LIYA ANJAAM’’..

15)  ZAMAANE KO PYAAR KI KYA PEHECHAAN,
JO KAR GAYE UNHE MILE BHAGWAAN,
JAB TAK NA HOGA PYAAR KISISE,
AANA HOGA DHARTI PE BANKE INSAAN..

16)  MILE JO DHARTI PE KAHIN PAYA JANNAT UNHONE,
BICHAR KE JO MILE YAHAN MAANGA MANNAT JINHONE,
SUNI RAAHO MAI BHI BARAS PARE FUL UNKE,
KAR GAYE JO JANMO KE KAAM KUCH HI LAMHO MAI..



17)  AAP GUZAR GAYEE RAAHO SE HAMARI,
PALAT KAR DEKHI NAHI YE HALAT HAMARI,
TAPKE AANSU NE AAPKO AWAAZ DI USS WAQT,
MIT CHUKI THI JAB YE HASRAT HAMARI..

18)  PYAAR HUA HAI AAPKO TO MAJBURI BHI HOGI,
KUCH DINO BAAD EK LAMBI DURI BHI HOGI,
MANZIL NA MILI PYAAR MAI HIRR-RAANJHE KO BHI,
HAMARI PYAAR KI DAASTAA BHI AISI ADHURI HOGI..

19)  WO JAAN-BUJH KAR HUME BEQARAAR KARTE HAI,
HAR KABR PAR WO HAMARA INTIZAAR KARTE HAI,
JAB PYAAR THUKRA CHALE HAMARA WO EK DIN,
AAJ KEHETE HAI WO HUMSE PYAAR KARTE HAI..

20)  GHABRAAH JATE HAI WAQT KE IMTIHAAN SE,
DHOKE MILE HAI JAB HAR EK INSAAN SE,
SAMBHAL NE KI LIYE TO EK HI THOKAR KAAFI THI,
GIR GIR NA SAMBHAL PAYE WO THOKAR BHI KIS KAAM ME..

21)  NAFRAT HAI HUME KHWAAB SE,
MOHABBAT KAISE KARLE CHAND SE,
NAPAAQ HAI TASWEER AASMAA KI,
CHAND PE LAGE ITNE DAAG SE..

22)  MUSKURAAKE CHINGAARI KO AUR BHARKAAO NAHI,
JALA  DALA DIL FIR ISE DHADKAAO NAHI,
APNI ADAAO KO HAYA NA BANA ZAALIM,
AHA NIKLE DIL SE ITNA BHI ISE TARPAAO NAHI..

23)  LEHRO KO CHATTAANO SE MILTE DEKHA,
AASMA KO KINAARO MAI GHULTE DEKHA,
YE KHEL HAI KUDRAT KE NIRAALE E-DOST,
ANKHO MAI REHENE WALO KO AANSUO SE DHULTE DEKHA..

24)  CHAND BHI KAVI KAVI CHIP JATA HAI,
FIR WO BHI KAHIN NAZAR ATA HAI,
BADAL KE GHERO MAI BHI CHIP KE KYA FAAYEDA,
JAB DUR REH KAR BHI KOI NAZAR ATA HAI..

25)  KUCH AUR DUR CHALNA HOGA HUME,
KUCH AUR QADAM BARHAANE HONGE TUMHE,
KAASH KE EK MULAAKAT HUI HOTI APNI,
KITNE KIMTI HOTE HAI YE LAMHE..


26)  U RO KE NA GUZAARO LAMHO KO,
DUNIYA BADLEGI DO QADAM CHALO TO,
BEHETI DHARA MILE SAGAR SE YAHAN,
UNCHI CHATTAANO SE KAVI GIRO TO..

27)  LOHE KI TAAQAT HO,
LEHERO KA JUNUN,
BIJLI BHI CHAMKE TO,
EK NA GIRE BUND,
ISTARAH SE DHALNA HAI,
JIWAN KE SAANCHE MAI E-DOST,
TUFAA MAI BHI NA URE,
DABE QADAM KE DHUL..

28)  REHENE DO KHUSHIYO KO MERE DARWAAZE PE TUM,
RONA NA MARNE PE MERE JANAAZE PE TUM,
MILNE KO TARSENGE TUMHE JANE KE BAAD BHI,
ANA NA WAHAN MERE BULAAWE PE TUM..

29)  CHALNA HAMARI FITRAT HAI TO RUKNA PARESHAANI,
INTIZAAR HAMARA NASIB HAI TO MILNA BEMAANI,
TAQDEER KE FAISLE SE U JHUKE HAI HUM,
FIR AAPKI DUAAO SE BHI KAISE BANTI MERI KAHAANI..

30)  HASE THE GUMO KI CHAAR DEWAARE KE BICH,
KYA HUA!! JO PAYA TANHAA HAZAARO KE BICH,
SIWA ISKE HAASIL NA HOTA KUCH,
SITAARA BHI CHAMAKTA JALKE SITAARO KE BICH..

31)  DIL KO AB DHADKAN KI ZARURAT NAHI RAHI,
CHEHERO KO AB DARPAN KI ZARURAT NAHI RAHI,
JINKE PAAS HO DOST AAP JAISE,
UNHE KISI JANNAT KI ZARURAT NAHI RAHI..

32)  ANDHERA HONE PAR TUM GHABRANA NAHI,
SATH NA MILE TO DAR JANA NAHI,
NA UMMID BHI HO JAB JINE KI YAARO,
MARNE SE PEHELE HI MARR JANA NAHI..

33)  JIWAN KE ANDHERO MAI DIP JALATA HAI JO,
SATH NA DE KOI TO SATH NIBHATA HAI WO,
GUM KE LEHERO KO BHI ROK RAKKHA HAI JISNE,
TAQDEER KA KHUDA KEHELATA HAI WO..



34)  ZINDIGI KO TALAASHTE HAR RAH MAI HUM,
KHWAAHISHO KO PUKAARTE EK CHAH MAI HUM,
HAI KUCH SAWAL SAJE IN LABO PE HAMARE,
DHUNDTE JINKE JAWAAB EK NIGAH MAI HUM..

35)  JINA JIWAN KO HAI TO JIWAN SE KYUN LARE,
REHENUMA JAB KHUDA HAI TO HALAATO SE KYUN DARE,
ISS UMRA SE BARI HAISIYAT NAHI HAI GUM KI,
KHUSHIYA MEHMAAN HAI DUR GUM KO KYUN KARE..

36)  ANGO KI KHUBSURTI AANKHO KO PATA HAI,
NAZDIKIO MAI FAASLA SAANSO KO PATA HAI,
JUDAI KA GUM SIRF DIL KO HI NAHI,
JUDAI USS CHEHRE KI IN HAATHO KO PATA HAI..

37)  KHWAAHISHO KO AAJ HUME DUA BHARI NIGAH MILI,
KISIKE ARMAANO MAI ZARAASI EK JAGAH MILI,
CHALTE HAI QADAM JAISE NAZRO KE SATH SATH,
ISTARAH AAJ HUME DOSTI SE WAFA MILI..

38)  SAMAJH NA CHAHTE THE KAVI HUM JINKO,
BHUL CHUKE HAI HUM AAJ UNKO,
ITNI DURI RAKKHNA E-KHUDA UNSE,
RAKKHA HAI JITNA AASMAAN NE ZAMIN KO..

39)  NA KHELO HUMARE JAZBAATO SE TUM,
TUT-NE PAR YE ZINDA HOTE NAHI,
CHOT LAGI HUME FIRSE WAHAN,
WARNA HUM KAVI ROTE NAHI..

40)  NA ULJHAAO HUME APNI KHAAMOSHI AWAAZ SE,
HUM CHALTE HAI SIRF APNE HI ANDAAZ SE,
KAI BEHETE BADAL KAVI BARSA NAHI KARTE,
TAKRA JAAYENGE HUM UNCHE PAHAAR SE..

41)  WO KEHETE HAI HUME PAGALPAN CHAYA HAI,
YE SAMEY JABKI MERI KISMAT LAYA HAI,
KAISE BHUL JAYEIN ISS KAHANI KO HUM,
DOSTI MAI BEH KAR JAB EK FARISHTA AYA HAI..

42)  MOUT NE ZINDIGI KO HAR QADAM PE HARAYA HAI,
ISNE MAASUM JIWAN KO PAL PAL DARAAYA HAI,
NA LAUTA KOI BHI ISKE DAR SE KAVI,
ISNE TO HAMARE ISHWAR KO BHI PAYA HAI..


43)  ZINDIGI KE IMTIHAAN MAI HUM PAAS HOTE RAHE,
DOST BANE KUCH-KUCH KHAAS HOTE RAHE,
AUR BHI RISHTE HUE HONGE ISS DHARTI PE KAVI,
NAAM MILE KISIKO KUCH BAD-NAAM HOTE RAHE..


44)  HUME UNN PALO KA RAHEGA INTIZAAR FIRSE,
AAP HONGI JUDA ISS DUNIYA KI VEER SE,
NA HOGA KOI SITAMGAR DARMIYAAN HAMARE,
DUA KARTE HAI HUM APNI ISS TAQDEER SE..

45)  KUCH BAATEIN ZINDIGI KE SATH CHALI JATI HAI,
KUCH MULAAKATEIN ZINDIGI KE BAAD HO JATI HAI,
HAI YE SAMEY KAM HAR ZINDIGI MAI ITNE,
MILNE SE PEHLE ZINDIGI EK DUJE SE BICHAR JATI HAI..

46)  DARD SOYE REHETE HAI PYAAR KI IMAARATO MAI,
EHSAAS HOTA YE JAB CHOT LAGE DIWAARO MAI,
AUR JHUK JATI MOHABBAT KI TEHENIYAA ITNI,
TOR FUL ISKE LOG BECH AATE BAZAARO MAI..

47)  JINE KA HAQ ZINDIGIO KO HAI TASWEERO KO NAHI,
RONE KA HAQ AANKHO KO HAI DARD-E-DILO KO NAHI,
PYAAR NA KAR YE RULAATA HAI BOHOT,
ISHQ KARNE KA HAQ AASHIQO KO HAI ASHQO KO NAHI..

48)  SANG-DILI UNHE RAAS NAHI AYEE,
HUM TO QAREEB THE WO PAAS NAHI AYEE,
DUNIYA DARAATI RAHI ISS QADAR HUME,
DHADAKNA CHAHA DIL PAR SAANS NAHI AYEE..

49)  RAHO SADA KHUSH U HI HAR DIN TUM,
NA GUZRE KOI SAAL DUNIYA KE.. BIN TUM,
AUR… BARHE ITNI TADAAD AAPKE CHAHNEWALO KI,
BHULE GINTI UNKI HAR BAAR .. GIN GIN TUM..

50)  EK YAAD BAN KAR WO SAMA GAI DIL MAI,
KAVI JO AYEE THI SAPNO KI MEHEFIL MAI,
BHUL HI NAHI APYE UNKI SHARMO-HAYA KO HUM,
DHUNDTE REHETE HAI UNHE HAR TASWEER MAI..

51)  INTIZAAR EK SAMANDAR HAI JISKA KOI KINAARA NAHI,
HUMSE MILNE KO KIYA AAPNE EK ISHARA NAHI,
BE-FIKRA HAI KUCH LOG ISTARAH SE YAHAN,
FIKRA HUME AAPKI HO AAPKO YE GAWAARA NAHI..

52)  JIWAN KE PAL KUCH ISTARAH SE GUZAR GAYE,
KHIL KAR FUL JAISE EK MOUSAM SE BICHAR GAYE,
KAASH! KE RUK JATI YE ZINDIGI BHI KAHIN,
JI LETE UN PAL KO….. ZINDIGI SE WO JIDHAR GAYE..

53)  ARMAANO KO DIL MAI MERE DABE REHENE DO,
NA CHERO INHE AAP KHUDA KE WAASTE,
TAQLEEF SE GUZREGA YE DIL HAR RAAT KO,
AUR KOI NAHI AAYEGA ISE SULAANE KE WAASTE..

54)  HAR MOR PE ZINDIGI KUCH U BADAL JATI,
UNCHI-NICHI RAH HONE PAR BHI YE SAMBHAL JATI,
ZARURAT LAGNE LAGE JAB KOI JIWAN KI RAHA MAI,
KAHANI DUSRE PANNE PAR PALAT JATI..

55)  GULSITAA SAJATE HAI HUM HAMARE LIYE,
HAR BAAR SAANS RUK JATI HAI TUMHARE LIYE,
BEWAQT KAHIN AAP AA NA JAAO YAHAN,
JORTE REHETE HAI FUL INME TUMHARE LIYE..

56)  ISS ITTEFAAQ KO HUM APNA NASIB SAMAJHTE HAI,
PAL PAL GUZRE TO AAPKO QAREEB SAMAJHTE HAI,
MULAAKATO KE PAL HO YA INTIZAAR KE LAMHE,
AAPKO ISS DIL KI EK TAQLEEF SAMAJHTE HAI..

57)  KUCH TO MAZA AATA HOGA DIL KO TARAPNE MAI,
WARNA BIN CHUYE BHI YE KAISE TUT JATA HAI,
BAAT JAB HAMESHA LOG ISIKI SUNTE HAI,
FIR SATH CHALTE CHALTE SAFAR KAISE RUK JATA HAI..

    100)CHAND KO BEHETE DEKHA HAI HUMNE,
           BEHETI CHIZEIN SIRF PANI MAI HI NAHI,
           HOTI MOHABBAT HAMARI ZINDIGIO MAI BHI,
           BICHARTI MOHABBAT SIRF KAHANIO MAI HI NAHI..

 101)JHUKE JHUKE SE NAZAR AAJ MILNE LAGE,
     NAZRO KE WO NISHAANE ISS DIL MAI LAGE,
     MUDDATO SE THI HUME JIS KALI KI PYAAS,
     FUL BANKAR BAAHO MAI WO KHILNE LAGE..

 102)JAB JAB MOHABBAT KO CHOT LAGI DIL ROYA HAI,
        BAKSHO US DIL KO JO DARD MAI SOYA HAI,
        MILTA HAI UNKO USS WAQT WAHI,
        JISNE JISS PAL MAI JO KUCH BHI BOYA HAI..


 103)LOG MUSIBAT KO APNA MARHAM BANA LETE HAI,
        ZAKHMO KO APNA QAFAN BANA LETE HAI,
        SAMJHOTA KAR LETE WO HAR MOR PE U HI,
        DO PAIR KI ZAMEEN KO APNA WATAN BANA LETE HAI..


 104)GULZAAR HOTI MOHABBAT PANAH MILNE PAR,
        GUMO KI DAALI PE EK DUA KHILNE PAR,
        WO MANZAR MOHABBAT KI DAASTA SE SAJTI HOGI,
        BEWAFA SE BESHUMAAR WAFA MILNE PAR..

 105)KOI CHIZ HUME ROK NAHI SAKTI DIWAAR BANKAR,
        NAFRAT BHI AYA TO LAUTA PYAAR BANKAR,
        WAQT DI HUMNE UMMID KO EK JAGAH PANE KI,
        MULAAKAT BHI HOGI APNI EK INTIZAAR BANKAR..

 106)IZHAAR-E-MOHABBAT KUCH ISTARAH SE HUA THA,
        BADAL NE PARWAT AUR PARWAT NE AMBR KO CHUA THA,
        PAR NAZAR LAG GAI ZAMAANE KI ISS QADAR,
        DIKHE HI NAHI WO FAILA ITNA DHUYAAN THA..

 107)RASMO KI DIWAAR INHE ROK NAHI SAKTI,
        INKAAR BHI PYAAR KOTOR NAHI SAKTI,
        HAI JAB MADADGAAR KHUDA ISKA,
        WAFA BHI RAASTA APNA MOR NAHI SAKTI..

 108)MOHABBAT NAQAAM HUI DUNIYA KE DASTURO SE,
        WAFA FIR BADNAAM HUI BEGUNAH KE KASURO SE,
        CHALTI RAH EK MOR SE FIR BUT JATE,
        PIROYE JINME MOTI WO DHAAGE KYUN TUT JATE..

 109)ZINDIGI KUCH ISTARAH SE NIKAL GAYEE,
        BARAF JAISE GARMIYO MAI PIGHAL GAYEE,
        CHUNA CHAHA JAB DIL NE UNKO,
        PAANI BANE WO….. AURR.. BEH KAR CHALI GAYEE !!

 110)SITAMGAR NA KAHO HUME HUM WAFA KE PYAASE THE,
        PARWAT CHUYE EK AMBR KO MERE SAATWEY AASMA KE IRAADE THE,
        UN MOR-E-ZINDIGI PE CHUTHA SATH APNO KA,
        JAHAN GAIR BANE KAVI HAMARE THE..

 111)DAFNAYA HAI SAPNO KO NAQAAMI KE QAFAN SE,
        DAB RAHE HUM BHI AB KHUD KE HI WAZAN SE,
        SAMA JAYENGE AB DHARTI PE ISTARAH,
        SAMAAYA HAI DHADAKTA DIL SINE MAI JIS TARAH..

 112)SATH RAHE HUMARE AAP BEGAANO KI TARAH,
        BAAT HUI ABTAK ANJAANO KI TARAH,
        GIRE THE RAAHO MAI JAB JAB HUM KAVI,
        BARHAAYA TAB TAB HATH AAPNE EHSAANO KI TARAH..

 113)AMANAT HAI RUSWAAIYA AAPKI BHI PAAS HAMARE,
        RANJH-O-GUM SI DUA HAI SATH HAMARE,
        KHUL JATE HAI KISMATO KE DARWAAZE INSE BHI JANAB,
        KISMAT KA BAADSHAH HOGA NA KOI BAAD HAMARE..

 114)DO DILO KE ARMAAN KAHIN THEHRE HO,
        PYAAR KE SAMANDAR AUR BHI GEHRE HO,
        DUB JAAYENGE ISHQ MAI HUM BHI AB,
        MANZAR YE HUME AISA KEH RAHE HO..

 115)WO HUME ROSHNI DETE RAHE KHUD KO JALAAKE,
        HUM UNHE CHORR AAYE UNKI AANKHO KO RULAAKE,
        WAQT KA TAQAAZA THA HAMARI WO BEWAFAI,
        JI LE HUM KAISE EK PAL UNHE BHULAAKE..

 116)RANGO MAI RANG GHULE AUR TASWEER BAN GAI,
        AAPSE HUM MILE AUR TAQDEER BAN GAI,
        REH GAI WO YAADE SIMAT KAR ISS DIL MAI,
        YE YAADE AB IN QADMO KI ZANJEER BAN GAI..

 117)LOGO NE MOHABBAT KO KHUDA KA DARJA DIYA,
        KHUDA NE DHADAKTA HUA DIL SA EK PURJA DIYA,
        GUM KI NAHI KOI JAGAH ISS DIL KO CHORR,
        GUM BHARE ISS DIL NE KHILTE FUL KO MURJHA DIYA..

 118)JANNAT SA LAGTA JAHAN KO JAHANNUM BANAAYE JUDAI,
        WAFA-E-ISHQ KE DARMIYAAN PANAP UTTHE BEWAFAI,
        MEHRUM REHETA DIL HAR UNN FARIYAADO SE,
        JAB JAB LOGO NE APNI ALAG DUNIYA BANAI..                                            

 119)WO NA RULAATE TO HUM KAVI HASTE NA REHETE,
        GUM-E-DIL KO HUM BE-GUM NA KEHETE,
        KAUN KEHETA HAI PATTHAR DIL ROYA NAHI KARTE ,
        CHATTAANO SE FIR JHARNE KAISE HAI BEHETE..

 120)NA RAKHNA KOI UMMID AMBR KE US SURAJ SE BHI,
        DHARTI PE ANDHERA KAR CHAND KO KARTA HAI ROSHAN,
        EK RUT MAI UTH-TI HAI PYAAR KI LEHER,
        AUR PALBHAR MAI FIR BADALTA HAI MAUSAM..


 121)WO RAAHO MAI PARE PATTHARO SE BACH-TE RAHE,
        BIKHREY FULO KA UNHE EHSAAS NA THA,
        TASWEERO MAI JISNE DEKH LI DUNIYA SAARI,
        ANDAAZA UNHE FAILA AAKAASH KA NA THA..

 122)AAP JHUM RAHE THE JAB APNE DOSTO KE SATH,
        INTIZAAR KAR RAHE THE HUM HONE KO AADHI RAAT,
        AB KI HAI HUMNE DUA YE TERE LIYE,
        KHAZAANA KHUSHIYO KA RAHE SIRF TERE PAAS..

 123)SATAAYA HAI KHUD KO GUMO KI CHAADAR MAI RAKH KAR,
        GIRE AANSU ANKHO KE PALKO SE DHAK KAR,
        INTIZAAR THA DIL KO ISI KHUSHI KE DIN KA,
        KEH RAHE CHAHANEWALE HAR SAPNE KO TU SACH KAR..

 124)DUNIYA KE DASTURO KE HATHO U MAJBUR HO GAYE,
        UNHONE QAREEB AANE NA DIYA HUM DUR HO GAYE,
        HOTA INTIZAAR JAISE BADAL KA UJRE ZAMEEN KO,
        BAARISH HUI NAHI BADAL BEKUSUR HO GAYE..

 125)PANAH HUE KUCH LOG MOHABBAT KI NOQ PAR,
        AAJMAYA NAHI KHUD KO TANHAI MAI JHONK KAR,
        SHAQLO PAR LIKKHA REHETA DARD KA FASAANA ISS-QADAR,
        PUCHTE LOG HAAL-E-DIL RAASTE PE ROK KAR..

 126)SAPNE JAB RUTHE HO HOTON PE HASI NAHI JACCHTI,
        TUTE HUE DIL KO KAVI CHOT NAHI LAGTI,
        HAI AITBAAR ITNASA ISS DIL KO FIRVI,
        GEHERE ANDHERO MAI BHI EK ROSHNI HAI JALTI..

 127)SAMJHOTA KAR RAHI HO TUM APNE KHUSHIYO SE,
        ZINDIGI YE TERI HAI KHUL KAR TUM JIYO ISE,
        KUCH BAATEIN CHOR DE USS KHUDA PAR BHI TUM,
        JO KEHETA HAI DIL TERA CHUP REH KAR SUNO USE..

 128)KHUSHBOO AUR RANGAT KA SATH FULO MAI HAI,
        TANHAI AUR MOHABBAT KA SATH JHULO MAI HAI,
        CHOTI SI BHI HIMAAQAT NAHI IN PYAARE RISHTO MAI,
        IZHAAR YA INQAAR APNE APNE USULO MAI HAI..

 129)WO AAJ BHI HUME EK AJNABI DOST MAANTE HAI,
        HUMNE TO UNKE ISS JURM KO BHI APNA LIYA,
        FAREB KI SHIQAAYAT KARTE HAI WO HUMSE AB,
        IN ZAKHMO KO BHI HUMNE SINE MAI DAFNA DIYA..


 130)WAFA KE RAASTO PAR AAJKAL BEWAFA MILTE HAI,
        PYAAR KO CHOT LAGE TO PARWAT BHI HILTE HAI,
        BAAGO KO AB BAARISH KI ZARURAT NAHI RAHI,
        SUNA HAI AAJKAL CHATTAANO MAI BHI FUL KHILTE HAI..

 131)GARAJTE BADAL DUNIYA KO ROSHAN KAR JATE,
        DUNIYA WALE NA JANE ROSHNI SE BHI KYUN DAR JATE,
        BHEEG JATA SAMA JAB BAARISH KI BUNDO SE,
        EK CHAADAR KI NICHE HUM-TUM KYUN SIMAT JATE..

 132)HUM RUKE HAI RAAHO PAR UNKE DIDAAR KE LIYE,
        AVITAK INTIZAAR KAR RAHE HAI CHOTE SE IQRAAR KE LIYE,
        RUTHE HUE HAI KUCH MOUSAM HUMSE BHI,
        CHUKANA NA PARE KUCH ISS IZHAAR KE LIYE,
       
 133)CHAHAT KE HAR ZARRRE MAI EK SARGAM MILAAYENGE,
        KHAAMOSH DIL KO BHI MOHABBAT SIKHAAYENGE,
        WO JAZBAA RAKHTE HAI U TO DIL CHURAANE KA,
        PAR EK GUNAH ZINDIGI MAI HUM BHI KAR JAYENGE..

 134)WAFA KO MOHABBAT SE EK BAAR JOR KE DEKHO,
        DAALI SE FULO KO ZARAASA MOR KE DEKHO,
        KAANO MAI GUNJEGI EK PYAARI SI AWAAZ,
        KHAAMOSH SHEESHE KO FIRSE TUM TOR KE DEKHO..

 135)HAR CHOTI CHOTI BAATO KE LIYE,
        ZINDIGI MAI INSAANO KO NAHI BADLE JATE,
        MANZIL BADAL GAYEE TO DISHA BADAL-LO,
        QASHTIYO KO NAHI BADLE JATE..

 136)LOG IRRAADO MAI MOHABBAT KO ZAAHIR NAHI KARTE,
        WAFA-E-HALAAT BEKAABU HO(N) TO LARAAI NAHI KARTE,
        ISS JIWAN KO JINE KE OR BHI KAI BAHAANE HAI,
        RUTHI TAQDEER BHI TO WO BEWAFAI NAHI KARTE..

 137)SITAARO KI CHAMAK TO U CHOTI HOTI HAI,
        PAR UNKI HAQIQUT AORO SE BHI BARI HOI HAI,
        SACCHE SAPNO KO TO SIRF DIN MAI DEKHE JATE HAI,
        JHUTHE SAPNO KE LIYE KAALI RAAT KI ZARURAT HOTI HAI..

 138)BARASTE HAI BADAL ZAMI PE PAANI BANKAR,
        REH JATE KUCH LOG DIL MAI NISHAANI BANKAR,
        TUT-TE HAI AAJ BHI DHAAGE UN MOHABBAT KE,
        HOTI FIR BAATEIN INKI SIRF KAHAANI BANKAR..


 139)BUJHTE DIYE NE BHI AAJ ROSHNI DI HAI,
        GEHRE ANDHERO NE BHI ISKI TAARIF KI HAI,
        HAWA KE JHONKE BHI SARR JHUKAAYE CHAL DIYE,
        BUJHTE DIYE NE JALTE DIYE KI AAJ JAGAH LI HAI..

 140)JIBONER BEGE BOIBE TUMI-O EK DIN,
        AAPON JONER HATH CHERE DHORBE OPORER EK DIN,
        BODLE JAABE SHOB KICHU CHOKHER NIMESHE TOKHON,
        MONE RAAKHBE AAMAAR EI KOTHA AAJ THEKE SHOB DIN..

 141)KICHU BHAALO KOTHA JENE-O BOLI NA TOMAAKE,
        CHAAI NA KONO KICHU AAMI EKHUNI SHONAATE,
        NOTUN JIBONER AALO AARO KICHU DURE HOBE,
        PAABO SHE DIN JAA CHEYECHI E-DU HATHE..

 142)WAQT KA TAQAAZA HAI GUM-E-JUDAI SEHNA THA,
        TERE DADDY SE MUJHE BHI KUCH KEHNA THA,
        KYUN ITNE FURSAT MAI REHTE HO AAP HAR DIN,
        MERE CALL KE SAMEY KYA AAPKO GHAR PE REHNA THA..

 143)HAR SAFAR KE SHURUWAAT MAI HOTI EK MANZIL HAI,
        HO KHUSHI KISI DIL KO TO SAJTI EK MEHFIL HAI,
        SOCHA AB SAWAALO KO AB SAWAL HI REHENE DU,
        JAWAABO SE JAB MILTE YAHAN GUM-E-DIL HAI..

 144)RUKHSAT NAHI HOTE KUCH GUM ISS DIL SE KAVI,
        DE JATE HAI JUDAI YAHAN MIL KAR SAVI,
        HAR MULAAKAT MAI KITNE KAM PAL JORE GAYE,
        LIKHNEWALE NE MITAYA HOGA LIKH KAR SAVI..

 145)HUM AASHIQ TO KITNE ANJAAMO SE GHIRE HAI,
        THORE SE NADAAN OR THORE SAR FIRE HAI,
        WAAKYA HAMARA YAHIN KHATM NAHI HOGA,
        URTE AASMAA SE TO ZAMI PE GIRE HAI..

 146)DIL KE ARMAANO MAI WO CHEHRA KAVI DIKHTA NAHI,
        MOHABBAT TO MOHABBAT HAI PAL BHAR KA RISHTA NAHI,
        NIKAL AATE WO JANMO KE BANDHAN KO BHI TOR,
        HAR KISIKO MILTA APNA FARISHTA NAHI..

 147)KOI RULAAYE HUME KISI HUSN MAI ITNA DUM NAHI,
        MOHABBAT KI HAI KHUDA SE AB KOI GUM NAHI,
        ZARURI NAHI DIL KI HAR CHAHAT PURI HO,
        AKELE YAHAN AUR BHI HAI AKELE SIRF HUM NAHI..


 148)DIL KI CHAHATO KO U KAM NAHI KARTE,
        NILE AMBR PE DUJA RANG NAHI BHARTE,
        KAISE BADLO-GI FIR SITAARO KI CHAMAK KO,
        TERI BANAAI ISS DUNIYA SE HUM NAHI DARTE..

149)BEWAFAI KA RANG KAISA BHI HO,
       AASHIQ DIL KO DIL SE PEHCHAAN HI LETE HAI,
       PYAAR MAI TO LOG EK CHAND KO CHIN LATE HAI,
       HUM TO PURA AASMAAN HI LETE HAI..
     
150)GALATI KO GUSTAAKHI SAMAJH GUNAH NA KARNA,
       MERI KHWAAHISHO KO KAVI U SAZA NA DENA,
       HOTA NAHI ANDHERA SURAJ DHALNE KE BAAD BHI,
       PAR CHAND KI CHANDNI KO TUM UJAALA NA KEHNA..

151)SAATO RANGO SE KUDRAT KE KOI FUL NAHI RANGTE,
       GUM KE AANSU TO IN AANKHO MAI BHI NAHI JAMTE,
       MOHABBAT KE NAAM PE LOG AB MAZE LUT-TE HAI,
       KHUBSURAT SE TAJMAHAL AB AUR NAHI BANTE..

152)MUSKURAANE KI ADAT TO HUME BACHPAN SE HAI,
       ZINDIGI KE DARD BHI INHE KYA ROK PAAYENGE,
       AANSU TO CHIPAAKE BHI BAHAATE HAI LOG YAHAN,
       PAR HUM TO ZINDIGI BHAR U HI MUSKURAAYENGE..

153)DIL KE ARMAANO KO ABTALAK CHUPA RAKKHA HAI,
       MILNE KI AADATO KO HAR WAQT JAGA RAKKHA HAI,
       AAP AAOGE HAMARE SAPNO MAI QADAM RAKHTE HUE,
       AANKHO KI PALKO KO GHANTO TAK LAGA RAKKHA HAI..

154)HAARNE KA HOSH NAHI JITNE KA JUNUN HAI,
       MOUT KA KHAUFF NAHI ZINDIGI KA GURUR HAI,
       HUI JO JANG KAVI ISS DARMIYAAN HAMARE TO,
       YE SARR KALAM KE LIYE AAPKE DAR PE HUZUR HAI..

155)MOHABBAT HAR KHUSHIYO KI ZAMANAT HAI,
       HAR DIL KISI AUR DIL KI AMANAT HAI,
       NAZAR NAHI ATA ISE ACCHA YA BURA KOI,
       MOHABBAT ANKHO MAI CHUPI WO QAYAMAT HAI..

156)WO MEHFIL MAI HAMARI MOUJUDGI KA PATA LAGAAYE,
       APNI VIGI PALKO SE AANSU KA EK KATRA LAGAAYE,
       ISS DIL KE GUM KA GUMA HI NAHI JINKO,
       HOTON PE HASI DEKH WO MERI KHUSHIYO KA ANDAZA LAGAAYE..


157)MILNE KI AAS DE KAR WO DIL KO TASSALLI DE GAYE,
       DIL KE AARZUO KO MAANO RANGRALI DE GAYE,
       SITAMGAR AAYE NAHI ISS DIL KA MUZAAYERA KARNE,
       ISS TARAH WO EK DIL KO ZALIL KAR GAYE..

158)JAB KISMAT KE DHAAGE KHUL DUR AASHIYAA BANEGA,
       APNE LOGO KA SATH HUME AUR KAM MILEGA,
       JANNAT KI DIWAARO SE GHIR JAAYENGI YAADE SAARI,
       UNHE SOCH YE DIL KAI BAAR TARPEGA..

159)BITI MULAAKATO KI TASWEER AANKHO MAI HASTI HAI TERI,
       APNO KI JUDAI MUJHE HI AB DASTI HAI MERI,
       DAASTAAN-E-TANHAI BHI MEHFIL KO ROYE,
       SAGAR SE BHI YE YAADE KYUN HOTI HAI GEHRI..

160)WO TOHMAT LAGAATE HAI HAMARI RUSWAAIYO PE,
       JASHN MANATE HAI HAMARI TANHAAIYO PE,
       DAB-DABA RAKHTE WO HUM PE HAR PAL U HI,
       NISHAN-E-QADAM PAYE UNKE HAMARI PARCHAAIYO PE..

161)TARAS GAYE HUM UNKE EK NAZAR DI-DAAR KO,
       SEHETE GAYE HAR WAQT NA-KHATM INTIZAAR KO,
       AB FAASLE HUE ITNE KE GUNJAAISH BHI NAHI RAHI,
       AADAT THI DUA KI AB KHUDA SE TAQRAAR KO..

162)HASAANE KO GUNAH KAHE TO RULAANE KI SAZA KYA HOGI,
       WAFA SE AITRAAZ HO TO JURM-BEWAFA KYA HOGI,
       HUE SHIKAAR HAR MOR ZINDIGI MAI U HI,
       BERUKHI KAATILANA HO TO UNKI ADA KYA HOGI..

163)HAR KHWAAHISHO KO NAHI MILTI HAQIQAT SE WAFA YAHAN,
       KUCH RISHTE TUT GAYE KUCH BANE YAHAN-WAHAN,
       AARZU HO PAANE KI TO MILTA KUCH AUR HI HAI,
       ZAKHMO KO MARHAM MILA DUNIYA SE ZAKHM YAHAN..

164)ANDHERE MAI CHAMAKTA EK CHEHRA NAZAR AYA,
       DEKH JISE HALKA SA DIL KO ASAR AYA,
       ROKNA CHAHTE QADAM JAB KISI MANZIL PE HUM,
       INHI RAAHO MAI HAR WAQT EK NAYA SAFAR AYA..

165)MOHABBAT KO TARAAZU MAI KAVI TOLNA NAHI,
       PYAAR HUA TO CHUP REHENA BOLNA NAHI,
       NA HAASIL HO WO PYAAR TO YAAD RAKHNA TUM,
       KHUDA BHI PUCHE UNKA NAAM TO MUH APNA KHOLNA NAHI..


166)NA GUM RAHA DIL PE,
       NA KHUSHI KISI BAAT KI,
       SAUDA KIYA DIN KA,
       BIKTI HAI RAAT BHI,
       JALNA THA JAB AAG PE,
       JAL GAYE SAPNE MERE,
       RUSWAAI THI SAPNO KO BHI,
       JUTI NAHI RAAKH BHI..

167)SITAARO KO HUM DHUNDNE LAGE ZAMI PE,
       AMBR WALE MERI POHONCH SE AB DUR HO GAYE,
       SURAJ KI KIRNE TO HUME JALAANE SE RAHI,
       UNKI YAAD MAI HI JALNE KO MAJBUR HO GAYE..

168)GAUR KARNA KAVI TUM HASTI HUI AANKHO KO,
       HAR MUSKAAN PE CHAMAK KI EK KAMI REHETI HAI,
       WO MUSKURAATE HAI JAB HADH SE ZYADA TO,
       ANKHO SE CHALAKTI EK NAMI REHETI HAI..

169)MITHI HO YAADE DIL MAI TO TANHAI BHI ACCHI LAGE,
       DARD HO DABE LAFZO MAI TO DUA BHI SACCHI LAGE,
       KHUSHIYO SE JI GAYE YE JIWAN HUM ABTAK,
       HAR GUZARTE PAL MAI KHUDA KI KOI MARZI LAGE..

170)AB HAI NAHI IN AANKHO MAI BASA SAPNA KOI,
       DOST MILE YAAR BANE NA APNA KOI,
       TUTI HUI SALAAKHO SE BANI YE IMAARAT DIL KI,
       DEKH ISE UMMID HUMSE NA RAKHNA KOI..

171)MEHFOOZ HAI QISSEY MULAAKAT KE ISS DIL PE AAJ BHI,
       NAFRAT HUI KAVI TO KAVI KARTE HAI NAAZ BHI,
       BUT JATE THE RAHA OR SHIQWAA NAHI KARTE KOI,
       JAB TANHA CHALTE JANA HAI ZINDIGI KE BAAD BHI..

172)AB YAKEEN KOI RAHA NAHI KISI RISHTO KE BICH,
       JI RAHE JAISE KAI FARISHTO KE BICH,
       TUT KAR BIKHAR GAYE JO TUKREY KAVI DIL KE,
       ROTE HAI LOG AAJ BHI INKE HISSSO KE BICH..

173)YAAD AYEE HO TUM AAJ EK DIL KO HASTA DEKH,
       MANZIL TAK CHALNA HAI FAILA YE RASTA DEKH,
       KYUN CHORR JAAOGE JAB THAMA HAI HATH HUMNE,
       ZINDIGI TO AVI JINI HAI AYA HAI FARISHTA DEKH..

174)THEHERE HUE PAL KO BEHENE KI IJAZAT DEDO,
       HAMARI EK GUNAH KI CHOTI SI ZAMANT DEDO,
       AB ARMAANO KO GHULNE DO FAILE IN UJAALO MAI,
       AAPKE DIL KO PYAAR BHARI YE HIDAYAT DEDO..
175)BOHOT BURI HAI YE NAAH KEHENE KI ADAT TERI,
       CHOT LAGI DIL KO SUNKE YE SHARARAT TERI,
       PAAQSAAR HAI YE ARMAAN MERE DIL KE,
       SAMAJH LO HUME TO HOGI MUJH PE INAYAT TERI..

176)KISIKI DUA MAI MAANGI HUI TU EK ARZI HAI,
       UNHONE HAI PAYA TUMHE KHUDA KI YE MARZI HAI,
       GAIRO KI DUAAO MAI APNO KI IBADAT HUI,
       AASMA PE TERE NAAM KI BIJLI V GARJI HAI..

177)BEDAKHAL KAR DIYA APNI ZINDIGI SE UNHONE,
       HUMNE TO PYAAR KI EK CHOTI DUNIYA HI MAANGI THI,
       DHADAKNE LAGA YE DIL BEFIKRA RAFTAAR SE,
       KE  ITNE DARD SE ISE MOUT TO AANI HI THI..

178)YE KISKI YAAD ZEHEN MAI KABRA KI TARAH DAFN HAI,
        BACHPAN KE SAPNO KA CHOTA YE ZAKHM HAI,
        AAS-PAAS BAITHE THE EK KASHTI MAI HUM DONO,
        AUR DHUND LETE JAGAH WO JAHAN PAR HUM HAI..

179)OR KARIB REHENA THA DO KADAM DUR NAHI,
       SATH HAATH RAKHTE HALAAT MAJBUR SAHI,
       KOSHISH SIRFITNI THI KE LAMHA WO THAM JAYE,
       DUNIYA KI NAZREIN BAND HO TUMHARI MAGHRUR SAHI..

180)HAR BAAR NAHI HOGI AHAT UNKI DARWAAZE PAR,
       HAR SAAL NAHI SAJTE FUL V KISI JANAZE PAR,
       EK ZINDIGI MAI LOG MILTE KAI JANMO KE BAAD,
       KHUDA V NAHI DETA YE JIWAN KISI PACHTAAWE PAR..

181)LOG BEH JATE HAI YAHAN IN RISHTO KE LEHERO MAI,
       KITNE RUP CHUPE HAI IN  MAASUM SE CHEHERO MAI,
       KINAARO MAI DHAKEL JATE YE FAASLE BANA KAR U,
       KEHETE RAHE DOST AAJ DIKHTE NAHI GAIRO MAI..

181)TARSENGE LOG JIWAN KI HAR SACCHAI KO,
       PEHECHAAN NA PAYA KOI APNI HI PARCHAAI KO,
       KYUN RULATE YE AANSU KYUN HASATI YE KHUSHI,
       PATTHAR V DEKH HASTA HOGA INSAAN KI LARAAI KO..

182)JO AAP AANKHEIN BAND KARTE TO SIRF,
       NAZAR BHAR DEKHNE KA GUNAH HUM TO KAR JATE,
       ACCHA HUA AAP SOYE NAHI WARNA,
       BIKHRI HOTI ZULFEIN AAPKI OR SHAQ AAP HUM PE KAR JATE..


183)SHORR HAI DIL MAI BADAL RAHE HO HALAAT JAISE,
       DILO KE BICH HAI FULO SE BHARE TALAAB JAISE,
       RONE KA NAHI KHONE DARR AAJ SATAYA HAI,
       DAR RAHE HUM AAJ TANHAI SE HUI TALAAQ JAISE..

184)NA JANE KYA GUM DENEWALA HAI WO RAB MERA,
       IMTIHAAN LIYA TO LIYA WO KAB MERA,
       ANDHERI AANKHO KOEK ROSHNI BAND KAR JATI,
       DEKHEGI YE DUNIYA TO MAZAQ URAAYENGE SAB MERA..

185)IN AANKHO MAI EKNAMI THI,
       ZINDIGI MAI KISISKI KAMI THI,
       KAVI TUFA MAI RAH VATKE,
       KAVI UNKE AANCHAL SE HAWATHAMI THI,
       WO PAAS NAHITO KYA HUA,
       UNKI YAAD SE TO MEHFIL JAMI THI..